Pighle Neelam sa behta hua ye samaa,
Neelam neelam si khamoshiyan,
Na kahin hai zameen, na kahin asmaan,
Sarsarati hui tehniyan, pattiya, keh rahi hain,
Ki bas ek tum ho yahan,
Sirf main hun, meri sansein aur ye dhadkanein,
Aisi gahraiyan, aisi tanhaiyan aur main,
Sirf main.
Apne hone pe, mujhko yakin aa gaya.
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho, to zinda ho tum,
Nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho, to zinda ho tum,
Hawa ke jhonkho ke jaise, azaad rehna seekho,
Tum ek dariya ke jaise, lehron mein behna seekho,
Har ek lamhe se tum milo khole apni bahein,
Har ek pal, ek naya samaa dekhe ye nigahein,
Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho, to zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho, to zinda ho tum
-Javed Akhtar

No comments:
Post a Comment